Khutba E Fadak
خطبہ فدک
1.Allah ki Hamd-o-Sana aur Nazariya-e-Touheed
اَلْحَمْدُلِلَّهِ عَلي ما اَنْعَمَ، وَ لَهُ الشُّكْرُ عَلي ما اَلْهَمَ، وَ الثَّناءُ بِما قَدَّمَ، مِنْ عُمُومِ نِعَمٍ اِبْتَدَاَها، وَ سُبُوغِ الاءٍ اَسْداها، وَ تَمامِ مِنَنٍ اَوْلاها
Tamam taarifie'n us Allah ke liye Jis ne (Mujhe) Apni Beshumaar aur Be Inteha Ne'amato'n se nawaza,Mai Shukr baja laati hu'n Us ki un Toufeeqath par jo Us ne mujhe ata ki'n Qabile Satayish hai wo zaat Jis ne sawal se pehle hi mukammal Ne'matien Ata ki'n (1)
جَمَّ عَنِ الْاِحْصاءِ عَدَدُها، وَ نَأى عَنِ الْجَزاءِ اَمَدُها، وَ تَفاوَتَ عَنِ الْاِدْراكِ اَبَدُها، وَ نَدَبَهُمْ لاِسْتِزادَتِها بِالشُّكْرِ لاِتِّصالِها
Beshumaar Ne'amato'n par jin ki koie inteha nahi'n, aur Na hi un ka koie badla hosakta hai,Aisi Ne'matien jin ka tasawwur karna imkaan se baahar hai Khuda chahta hai ke ham Uski Ne'amato'n ki Qadr karie'n taaki Wo ham par apni Ne'amato'n ka izaafa farmaye (2)
وَ اسْتَحْمَدَ اِلَى الْخَلائِقِ بِاِجْزالِها، وَ ثَني بِالنَّدْبِ اِلى اَمْثالِها
Hamie'n shukr ki dawath di hai taaki Aakhirath me bhi Wo aise hi apni Ne'amato'n ka nuzool farmaye (3)
وَ اَشْهَدُ اَنْ لا اِلهَ اِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لا شَريكَ لَهُ، كَلِمَةٌ جَعَلَ الْاِخْلاصَ تَأْويلَها، وَ ضَمَّنَ الْقُلُوبَ مَوْصُولَها، وَ اَنارَ فِي التَّفَكُّرِ مَعْقُولَها
Mai Khuda ki wehdaniyath ki gawahi deti hu'n ,Wo 'Wehdahu La'Shareek" hai, Aisi wehdaniyath Jis ki haqiqath Iqlaas par mabni aur Jis ka Mushahida Dil ki gehraayi se hota hai aur Us ke Haqiqi maana par Ghour-o-Fikr karne se Dil-o-Dimaagh roshan hote hai'n (4)
الْمُمْتَنِعُ عَنِ الْاَبْصارِ رُؤْيَتُهُ، وَ مِنَ الْاَلْسُنِ صِفَتُهُ وَ مِنَ الْاَوْهامِ كَيْفِيَّتُهُ اِبْتَدَعَ الْاَشْياءَ لا مِنْ شَىْءٍ كانَ قَبْلَها، وَ اَنْشَاَها بِلاَاحْتِذاءِ اَمْثِلَةٍ اِمْتَثَلَها
Wo khuda jis ko Aankh ke zariye dekha nahi jasakta, Zabaan ke zariye Us ki Ta'areef-o-Touseef nahi'n ki ja sakti, Jo Wehm-o-Gumaan me bhi nahi'n aasakta- Wo khuda jis ne aisi aisi Moujudaath khalq ki Jin ki Is se pehle Na koie Nazeer milti hai aur Na Koie Misaal (5)
كَوَّنَها بِقُدْرَتِهِ وَ ذَرَأَها بِمَشِيَّتِهِ، مِنْ غَيْرِ حاجَةٍ مِنْهُ اِلى تَكْوينِها، وَ لا فائِدَةٍ لَهُ في تَصْويرِها، اِلاَّ تَثْبيتاً لِحِكْمَتِهِ وَ تَنْبيهاً عَلي طاعَتِهِ، وَ اِظْهاراً لِقُدْرَتِهِ وَ تَعَبُّداً لِبَرِيَّتِهِ، وَ اِعْزازاً لِدَعْوَتِهِ
Us ne apni Marzi aur Mashiyyath se Is Kayenath ko Wujood baqsha Baghair iske ke Is ke Wujood ki koie zaroorath ho Ya Is ka koie Faida pahunchta ho Balke Kayenath ko Us ne isliye paida kiya taake Apne Ilm-o-Hikmath ko saabith karsake, Apni Ita'ath ke liye tayyar karsake, Apni Taaqath-o-Qudrath ka Izhaar karsake, Bando'n ko Apni Ibaadath ki targheeb dila sake aur Apni daawath ki Ahmiyath jata sake (6)
ثُمَّ جَعَلَ الثَّوابَ عَلي طاعَتِهِ، وَ وَضَعَ الْعِقابَ عَلي مَعْصِيَتِهِ، ذِيادَةً لِعِبادِهِ مِنْ نِقْمَتِهِ وَ حِياشَةً لَهُمْ اِلى جَنَّتِهِ
Us ne Apni Ita'ath par Jaza aur Na Farmani par Saza mu'ayyan ki hai taake Apne Bando'n ko Azaab se nijath de aur Jannath ki taraf laasake (7)
2.Azmath-e-Rasool-e-Khuda aur Maqsad-e-Be'asath
وَ اَشْهَدُ اَنَّ اَبی مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَ رَسُولُهُ، اِخْتارَهُ قَبْلَ اَنْ اَرْسَلَهُ، وَ سَمَّاهُ قَبْلَ اَنْ اِجْتَباهُ، و اصْطَفاهُ قَبْلَ اَنْ اِبْتَعَثَهُ، اِذ الْخَلائِقُ بِالْغَیْبِ مَكْنُونَةٌ، وَ بِسَتْرِ الْاَهاویلِ مَصُونَةٌ، وَ بِنِهایَةِ الْعَدَمِ مَقْرُونَةٌ، عِلْماً مِنَ اللَّهِ تَعالی بِمائِلِ الْاُمُورِ، وَ اِحاطَةً بِحَوادِثِ الدُّهُورِ، وَ مَعْرِفَةً بِمَواقِعِ الْاُمُورِ
Mai Gawahi deti hu'n ke Mere Pidar-e-Buzurgwaar Hazrath Mohammmed-e-Mustafa (saww) Allah ke Bande aur Rasool hai'n , Unko Paighambari par Mab'oos karne se pehle Allah ne unko Chuna, (Aur Unke Inteqaab se pehle Unk Naam Mohammed rakha) Aur Be'asat se pehle Unka Inteqaab kiya, Jis waqt Maqlooqath Aalame Ghaib me Pinhaa'n (Chupi'n) thi'n, Neest-o-Naaboodi ke pardo'n me Chupi'n thi'n Aur Adam ke Wadiyo'n me thi'n, Chunke Khuda wande aalam har shai ke Mustaqbil (Future) se aagah, Zamane ke Hawadisaath se Ba Khabar aur Qaza-o-Qadr se Muttale (khabar rakhta) hai (8)
اِبْتَعَثَهُ اللَّهُ اِتْماماً لِاَمْرِهِ، وَ عَزیمَةً عَلى اِمْضاءِ حُكْمِهِ، وَ اِنْفاذاً لِمَقادیرِ رَحْمَتِهِ، فَرَأَى الْاُمَمَ فِرَقاً فی اَدْیانِها، عُكَّفاً عَلی نیرانِها، عابِدَةً لِاَوْثانِها، مُنْكِرَةً لِلَّهِ مَعَ عِرْفانِها
Khuda ne Hazrath Mohammed Mustafa (saww) ko Mab'oos kiya taake Apne Maqsad ko aage badhaye, Apne hatmi Faislon ko Paaye Takmeel tak pahunchaye, Aur Logo'n par apni Rehmath ko naazil kare (Jab aap Mab'oos huwe) tho log Mukhtalif Adyaan me bate huwe they, Kufr-o-Ilhaad ki aag me jal rahe they, Buto'n aur Aag ki parastish kar rahe they, Aur Khuda ki Shanaqt ke baad bhi Us ka Inkaar kiya karte they (9)
فَاَنارَ اللَّهُ بِاَبیمُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَیْهِ و الِهِ ظُلَمَها، وَ كَشَفَ عَنِ الْقُلُوبِ بُهَمَها، وَ جَلى عَنِ الْاَبْصارِ غُمَمَها
Hazrath Mohammed Mustafa (saww) ke Wujoode Muqaddas se Taarikiya'n chat(hat) gayi'n, Jihaalath aur Nadaniya'n Dilo'n se Nikal gayi'n, Hairatie'n aur Sargardaniya'n Aankho'n se Aujhal hogayi'n (10)
وَ قامَ فِی النَّاسِ بِالْهِدایَةِ، فَاَنْقَذَهُمْ مِنَ الْغِوایَةِ، وَ بَصَّرَهُمْ مِنَ الْعِمایَةِ، وَ هَداهُمْ اِلَى الدّینِ الْقَویمِ، وَ دَعاهُمْ اِلَى الطَّریقِ الْمُسْتَقیمِ
Mere Baap ne logo'n ki Hidayath ki aur Gumraahi aur Zalaalath se Nijaath di, Taariki se Nikal kar Roshni ki taraf lekar aaye aur Deen-e-Islaam ki raah dikhayi aur Seerat-e-Mustaqeem ki taraf rehnumayi ki (11)
ثُمَّ قَبَضَهُ اللَّهُ اِلَیْهِ قَبْضَ رَأْفَةٍ وَ اخْتِیارٍ، وَ رَغْبَةٍ وَ ایثارٍ، فَمُحَمَّدٌ صَلَّى اللَّهُ عَلَیْهِ و الِهِ مِنْ تَعَبِ هذِهِ الدَّارِ فی راحَةٍ، قَدْ حُفَّ بِالْمَلائِكَةِ الْاَبْرارِ وَ رِضْوانِ الرَّبِّ الْغَفَّارِ، وَ مُجاوَرَةِ الْمَلِكِ الْجَبَّارِ، صَلَّى اللَّهُ عَلی أَبی نَبِیِّهِ وَ اَمینِهِ وَ خِیَرَتِهِ مِنَ الْخَلْقِ وَ صَفِیِّهِ، وَ السَّلامُ عَلَیْهِ وَ رَحْمَةُاللَّهِ وَ بَرَكاتُهُ
Iske baad Khuda ne Apne Paighambar ke Ikhtiyaar, Raghbath aur Meherbaani se unki Rooh qabz ki, Is Waqt mera Baap Is Duniya ki Sakhtiyo'n se aaram me hai Aur Is Waqt Fariahto'n aur Rizaayat-e-Ghaffar aur Malikil Jabbar ke qareeb Zindagi guzaar raha hai, Khuda ke taraf se mere Baap, Nabi aur Ameen-e-Khuda, Khairil Khalq aur Safiye Khuda par Darood-o-Salaam aur Uski Rehmath ho (12)
3. Nazariya-e-Imamath O Quran ki Ahmiyath aur Ummath ki Zimmedari ::
ثم التفت الى اهل المجلس و قالت: اَنْتُمْ عِبادَ اللَّهِ نُصُبُ اَمْرِهِ وَ نَهْیِهِ، وَ حَمَلَةُ دینِهِ وَ وَحْیِهِ، وَ اُمَناءُ اللَّهِ عَلى اَنْفُسِكُمْ، وَ بُلَغاؤُهُ اِلَى الْاُمَمِ
Iske Baad aap ne Majme ko Mukhatib karke Farmaya ::
Tum khuda ke Bande, Amr-o-Nahi ke Parchamdar aur Deen-e-Islaam ke Tarafdar ho aur Tum Apne Nafso'n par Allah ke Ameen ho, Tumhi Logo'n ke Zariye Doosri Qoumo'n tak Islam pahunch raha hai (13)
زَعیمُ حَقٍّ لَهُ فیكُمْ وَ عَهْدٍ قَدَّمَهُ اِلَیْكُمْ، وَ بَقِیَّةٍ اِسْتَخْلَفَها عَلَیْكُمْ: كِتابُ اللَّهِ النَّاطِقُ وَ الْقُرْانُ الصَّادِقُ، و النُّورُ السَّاطِعُ وَ الضِّیاءُ اللاَّمِعُ، بَیِّنَةً بَصائِرُهُ، مُنْكَشِفَةً سَرائِرُهُ، مُنْجَلِیَةً ظَواهِرُهُ، مُغْتَبِطَةً بِهِ اَشْیاعُهُ، قائِداً اِلَى الرِّضْوانِ اِتِّباعُهُ، مُؤَدٍّ اِلَى النَّجاةِ اسْتِماعُهُ
Tum ne goya samajh liya hai ke Tum in Sifaat ke haqdar ho, Aur Kya is silsile me Khuda se Tumhara koie Ahd-o-Paimaan hai ? Haalanke ham Baqiyatullah aur Quran-e-Natiq hai'n, Wo Kitab-e-Khuda Jo Sadiq aur Chamakta hua Noor hai Jis ki Baseerath Roshan-o-Munawwar aur Is ke Asraar Zahir hai'n, Is ke Pairokaar Sa'adathmand hai'n, Iski Pairawi karna Insaan ko Jannath ki taraf Hidayath karta hai, Iski Baato'n ko Sunna Wasila-e-Nijaat hai (14)
بِهِ تُنالُ حُجَجُ اللَّهِ الْمُنَوَّرَةُ، وَ عَزائِمُهُ الْمُفَسَّرَةُ، وَ مَحارِمُهُ الْمُحَذَّرَةُ، وَ بَیِّناتُهُ الْجالِیَةُ، وَ بَراهینُهُ الْكافِیَةُ، وَ فَضائِلُهُ الْمَنْدُوبَةُ، وَ رُخَصُهُ الْمَوْهُوبَةُ، وَ شَرائِعُهُ الْمَكْتُوبَةُ
Aur Is ke Ba-barkath Wujood se Khuda ki Noorani Hujjatho'n tak Rasaaie ki jasakti , Is ke Wasile se Muharramath,Mustehbaath-o-Mubahaath aur Qawaneen Shariyath hasil hosakte hai'n (15)
4. Falsafa-e-Ahkaam-e-Shariyath ::
فَجَعَلَ اللَّهُ الْایمانَ تَطْهیراً لَكُمْ مِنَ الشِّرْكِ، وَ الصَّلاةَ تَنْزیهاً لَكُمْ عَنِ الْكِبْرِ، وَ الزَّكاةَ تَزْكِیَةً لِلنَّفْسِ
Khuda Wande Aalam ne Tumhare liye Imaan ko Shirk se Paak hone ka Wasila qaraar diya, Namaz ko Takabbur se Bachne ke liye, Zakaat ko Wus'ate Rizq aur Tazkiya-e-Nafs ka Wasila Qarar diya (16)
وَ نِماءً فِی الرِّزْقِ، وَ الصِّیامَ تَثْبیتاً لِلْاِخْلاصِ، وَ الْحَجَّ تَشْییداً لِلدّینِ، وَ الْعَدْلَ تَنْسیقاً لِلْقُلُوبِ
Roze ko Ikhlaas ke liye, Haj ko Deen ki Buniyadie'n Ustawaar karne ke liye, Adaalath ko Nazm-e-Zindagi aur Dilo'n ke Aapas me Milane ke liye sabab qaraar diya hai (17)
وَ طاعَتَنا نِظاماً لِلْمِلَّةِ، وَ اِما مَتَنا اَماناً لِلْفُرْقَةِ
Aur Hamari Ita'ath ko Nazm-e-Millath aur Hamari Imamath ko Tafraqa Andazi se doori ka Baaies qarar diya (18)
وَ الْجِهادَ عِزّاً لِلْاِسْلامِ، وَ الصَّبْرَ مَعُونَةً عَلَی اسْتیجابِ الْاَجْرِ. وَ الْاَمْرَ بِالْمَعْرُوفِ مَصْلِحَةً لِلْعامَّةِ، وَ بِرَّ الْوالِدَیْنِ وِقایَةً مِنَ السَّخَطِ، وَ صِلَةَ الْاَرْحامِ مَنْساءً فِی الْعُمْرِ وَ مَنْماةً لِلْعَدَدِ
Jihaad ko Izzat-e-Islaam aur Kuffar ki Zillath ka sabab qarar diya, Sabr ko Sawab ke liye Madadgaar muqarrar kiya, Amr Bil Maaroof-o-Nahi Anil Munkar ko Umoomi Maslehath ke liye, Waledain ke Sath Neki ko Ghazab se bachne ka zariya aur Sila-e-Rehm ko Taaqeer Mout ka Wasila qarar diya (19)
وَ الْقِصاصَ حِقْناً لِلدِّماءِ، وَ الْوَفاءَ بِالنَّذْرِ تَعْریضاً لِلْمَغْفِرَةِ، وَ تَوْفِیَةَ الْمَكائیلِ وَ الْمَوازینِ تَغْییراً لِلْبَخْسِ وَ النَّهْىَ عَنْ شُرْبِ الْخَمْرِ تَنْزیهاً عَنِ الرِّجْسِ، وَ اجْتِنابَ الْقَذْفِ حِجاباً عَنِ اللَّعْنَةِ، وَ تَرْكَ السِّرْقَةِ ایجاباً لِلْعِصْمَةِ، وَ حَرَّمَ اللَّهُ الشِّرْكَ اِخْلاصاً لَهُ بِالرُّبوُبِیَّةِِ
Qisaas isliye rakha taake Kisi ko Na Haq Qatl na karo aur Nazr ko poora karne ko Gunehgaaro'n ki baqshish ka sabab qarar diya aur Palidi aur Pasth Harkato'n se Mehfooz rehne ke liye Sharaab Khori ko Haraam kiya, Zina ki Nisbath dene se Ijtinaab ko Laanath se Bachne ka zariya banaya, Chori Na Karne ko Izzath-o-Iffath ka zariya qarar diya, Khuda ke Sath Shirk ko Haraam qarar diya taake Us ki Rububiyyath ke baare me Ikhlaas baaqi rahe (20)
فَاتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقاتِهِ، وَ لا تَمُوتُنَّ اِلاَّ وَ اَنْتُمْ مُسْلِمُونَ، وَ اَطیعُوا اللَّهَ فیما اَمَرَكُمْ بِهِ وَ نَهاكُمْ عَنْهُ، فَاِنَّهُ اِنَّما یَخْشَی اللَّهَ مِنْ عِبادِهِ الْعُلَماءُ
Ay Logo ! Taqwa-o-Parhezgaari ko Apnao aur Tumhara khatma Islaam par ho aur Islaam ki Hifazath karo Khuda ke Awamir-o-Nawahi ki Ita'ath karo aur Khuda se sirf Ulama darte hai'n (21)
5. Apne Walid-e-Giraami ki Touseef, Apne Khuda pasand Shouhar ki Ja'nfishaanio'n ka bayan aur Apna Ta'aruf
ثم قالت: اَیُّهَا النَّاسُ! اِعْلَمُوا اَنّی فاطِمَةُ وَ اَبیمُحَمَّدٌ، اَقُولُ عَوْداً وَ بَدْءاً، وَ لا اَقُولُ ما اَقُولُ غَلَطاً، وَ لا اَفْعَلُ ما اَفْعَلُ شَطَطاً، لَقَدْ جاءَكُمْ رَسُولٌ مِنْ اَنْفُسِكُمْ عَزیزٌ عَلَیْهِ ما عَنِتُّمْ حَریصٌ عَلَیْكُمْ بِالْمُؤْمِنینَ رَؤُوفٌ رَحیمٌ
Iske baad Janab-e-Fathima Zehra (s.a) ne Farmaya :
Ay Logo'n ! Jaan lo Mai Fathima hu'n, Mere Baap Hazrath Mohammed Mustafa (saww) they, Meri pehli aur aakhri baat yahi hai Jo Mai kehrahi hu'n Wo Galath nahi'n hai aur Jo Mai Anjaam deti hu'n Behuda nahi'n hai- Khuda ne tumhi me se Paighambar ko bheja, Tumhari Takleef se unhe Takleef hoti thi Wo Tum se Mohabbath karte they aur Momineen ke haq me Dil soz-o-Ghafoor-o-Raheem they (22)
فَاِنْ تَعْزُوهُ وَتَعْرِفُوهُ تَجِدُوهُ اَبی دُونَ نِسائِكُمْ،وَ اَخَا ابْنِ عَمّی دُونَ رِجالِكُمْ، وَ لَنِعْمَ الْمَعْزِىُّ اِلَیْهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَیْهِ وَ الِهِ. فَبَلَّغَ الرِّسالَةَ صادِعاً بِالنَّذارَةِ، مائِلاً عَنْ مَدْرَجَةِ الْمُشْرِكینَ
Wo Paighambar Mere baap they Na ke Tumhari Aurato'n ke Baap, Mere Shouhar ke Chachazaad Bhai they Na ke Tumhare Mardo'n ke Bhai aur Aa'n Hazrath (saww) se Mansoob hona kitni behtareen Nisbath aur Fazilath hai Unho'n ne Deen-e-Islam ki Tableegh ki aur Logo'n ko Azaab-e-Ilahi e Daraya aur Shirk phelaane walo'n ka Darwaza band kardiya (23)
ضارِباً ثَبَجَهُمْ، اخِذاً بِاَكْظامِهِمْ، داعِیاً اِلى سَبیلِ رَبِّهِ بِالْحِكْمَةِ و الْمَوْعِظَةِ الْحَسَنَةِ، یَجُفُّ الْاَصْنامَ وَ یَنْكُثُ الْهامَّ، حَتَّى انْهَزَمَ الْجَمْعُ وَ وَ لَّوُا الدُّبُرَ
Inki Gardano'n par Shamsheer-e-Adalath rakhi aur Haq dabane walo'n ka gala daba diya taake Shirk se parhez karie'n aur Touheed-o-Adalath ko Qubool karie'n, Apni Wa'az-o-Naseehath ke zariye khuda ki taraf dawath di, Butho'n ko thoda aur Unke Saro'n ko kuchal diya, Kuffar ne shikast khaie aur Mun'h pher kar bhag gaye (24)
حَتَّى تَفَرََّى اللَّیْلُ عَنْ صُبْحِهِ، وَ اَسْفَرَ الْحَقُّ عَنْ مَحْضِهِ، و نَطَقَ زَعیمُالدّینِ، وَ خَرَسَتْ شَقاشِقُ الشَّیاطینِ، وَ طاحَ وَ شیظُ النِّفاقِ، وَ انْحَلَّتْ عُقَدُ الْكُفْرِ وَ الشَّقاقِ
Kufr ki Taarikiya'n door hogayi'n aur Haq Mukammal thour se wazeh hogaya, Deen ke rehbar ki goya huie aur Shayateen ki Zabano'n par taale padgaye, Nifaaq ke pairokaar Halakath aur Sargardaani ke gehraayi me jaagire Kufr-o-Ikhtelaaf aur Nifaaq ke mazbooth bandhan tukde tukde hogaye (25)
وَ فُهْتُمْ بِكَلِمَةِ الْاِخْلاصِ فی نَفَرٍ مِنَ الْبیضِ الْخِماصِ
Aur Tum Ahlebaith (a.s) ki wajah se Kalma-e-Shahadath zabaan par jaari karke Logo'n ki Nazro'n me Surkhroo hogaye (26)
وَ كُنْتُمْ عَلى شَفا حُفْرَةٍ مِنَ النَّارِ، مُذْقَةَ الشَّارِبِ، وَ نُهْزَةَ الطَّامِعِ، وَ قُبْسَةَ الْعِجْلانِ، وَ مَوْطِیءَ الْاَقْدامِ، تَشْرَبُونَ الطَّرْقَ، وَ تَقْتاتُونَ الْقِدَّ، اَذِلَّةً خاسِئینَ، تَخافُونَ اَنْ یَتَخَطَّفَكُمُ النَّاسُ مِنْ حَوْلِكُم
ْ
Dar halaa'nke Tum Dozakh ke dahaane par Is haalath me Khade they ke Jaise Pyaase shaks ke liye Paani ka Ek Ghoont aur Bhooke shaks ke liye Roti ka Ek Tar Luqma aur Tumhare liye Shola-e-Jahannam Us Raahgeer ki tarha Justuju me tha Jo Apna Raasta talash karne ke liye Aag ki rahnumaie chahta hai- Tum Qabael ke Nehes Panjo'n ki sakht giraft me they, Ganda pani pithe they aur Haiwano'n ko khaal sameth khalete they aur Doosro'n ke Nazdeek Zaleel-o-Khwaar they aur Ird Gird Qabael se hamesha Khoufzada they (27)
Comments
Post a Comment