Ziyarat E Lailatu Qadr
Imam Mohammad Taqi (a.s) se marvi (rewayat ki gayee) hai ke jo shakhs Shabe Qadr mein Imam Husain ki ziyarat kare’n to 24 hazaar (24000) paigamber aur farishte jo Allah (s.w.t) ki ijaazat le kar ziyarat karne ke liye aaye hai woh us shakhs ke saath musaafeha karte hai’n.
Imam Jafar Sadiq (a.s) se waarid huwa hai ke jab shabe Qadr aati hai to saatwee’n aasmaan (7th Sky) par ek munaadi (announcer) neda deta hai ke Khuda wande Aalam ne har aise shakhs ko bakhsh diya jo Husain Ibne Ali (a.s) ki ziyarat ke liye aaya hai.
(Shuru karta hoo’n mai’n) Allah ke naam se Jo bada maherbaan aur rahem karne wala hai.
Salaam ho aap par Ay Rasool-e Khuda (s.a.w.s) ke farzand. Salaam ho aap par Ay Ameerul Momineen (a.s) ke farzand. Salaam ho aap par Ay Fatematuz-Zahra (s.a) ke farzand jo bohot hi sachchi, pakeeza aur tamaam jahaano’n ki aurto’n ki sardaar hai’n. Aap par salaam ho Ay mere Maula Ay Aba Abdillah. Khuda ki rehmat ho aap par aur Uski barkate’n naazil ho aap par.
Mai’n gawahi deta hoo’n keh aap ne namaaz qayem ki aur zakaat di. Aap ne logo’n ko nek kaamo’n ka hukm diya aur bure kaamo’n se mana kiya (roka). Aur aap ne Kitaabe Khuda (Qur’an) is-tarha tilaawat ki jo tilaawat ka haq hai. Aur raahe Khuda mein woh jehaad kiya jo jehaad ka haq hai. Aur Aap ne Khuda ke liye (Khuda ki khushnoodi ke khaatir) dukho’n (museebato’n) par sabr kiya ummeed-e ajr mein, yahaa’n tak ke aap daraja-e shahadat par faayez huwe.
Mai’n gawahi deta hoo’n keh jinho’n ne aap ki mukhalefat ki aur aap se jang ki aur aap ka saath na diya aur jinho’n ne aap ko qatl kiya woh sab mal’oon qaraar diye gaye Nabiul Ummi ke zabaan se, yaqeenan woh nakaam raha jisne jhoota daawa kiya, Khuda ki la’nat ho un par jinho’n ne aap par zulm kiya hai (chaahe woh) awwaleen mein se ho ya aakhereen mein se, aur dugna (double) ho unpar darad-naak azaab.
Mai’n aaya (haazir huwa) aap ke yahaa’n Ay mere Aaqa o Maula Ay farzande Rasool-e Khuda (s.a.w.s) aap ki ziyarat karne aap ke haq ko pahchaante huwe. Aap ke dosto’n se dosti aur aap ke dushmano’n se dushmani rakhte huwe. Us raaste ko durust aur saheeh hidaayat ka raasta jaante huwe jis-par aap chale, aur usey gumrah samajhte huwe Jisne aap se mukhalefat ki. Pas apne Parwardegaar ke yahaa’n hamare liye sifarish farma de’n.
Phir (sirhaane ki taraf ja kar) qabr se lipat jaaye aur apne rukhsaar ko Zareeh-e Mubarak par rakh kar kahe’n…
Salaam ho aap par Ay Hujjate Khuda uski zameen aur uske aasmaan mein. Khuda rehmat kare’n aap ke Taiyab-o-Tahir rooh par aur aap ke jisme-paak (pakeeza jism) par. Aur aap par salaam ho Ay mere Aaqa o Maula, aur Khuda ki rehmat-o-barkatein naazil ho aap par.
Iske baad 2 rakat Namaaz padh kar Imam (a.s) ko hadiya kare.
Phir qabre mubarak ki paayenti ki taraf jaaye aur Hazrate Ali Akbar (a.s) ki ziyarat padhe’n…
Salaam ho aap par Ay mere Maula aur mere Maula ke farzand. Khuda ki rehmat aur Uski barkate’n naazil ho aap par. Khuda la’nat kare’n us-par jisne aap par zulm kiya aur Khuda la’nat kare’n us-par jisne aap ko qatl kiya aur unki shadeed dard-naak azaab mein kayee guna izafa kare.
(Phir Khuda se jo chaahe dua maanghe)
Iske baad Tamaam shohadaa ki ziyarat kare’n…
Salaam ho aap sab par Ay sachcho. Salaam ho aap sab par Ay Shaheedo jinho’n ne bohot sabr kiya. Mai’n gawahi deta hoo’n keh yaqeenan aap logo’n ne Khuda ki raah mein jehaad kiya aur Khuda ki khushnoodi ke khaatir dukh-dard aur taklifo’n par sabr kiya, aap logo’n ne Khuda wa Rasool (s.a.w.s) se khuloos barta yahaa’n tak keh duniya se guzar gaye. Mai’n gawahi deta hoo’n keh zaroor aap log apne Parwardegaar ke yahaa’n zinda hai’n aur rizq paate hai’n. Pas Khuda aap logo’n ko behtareen jaza’a de. Islaam aur Ahle Islaam ki taraf se behtareen jazaa jo neku-kaaro’n (nek kaam karne walo’n) ke liye hai. Aur ek-jaa (ekhattha) kare’n hamein aur aap ko ne’mato’n se bhari Jannat ke mahal aur makano’n mein.
Iske baad Hazrat Abbas (a.s) ki zareeh ke paas ja kar unki ziyarat padhe’n…
Salaam ho aap par Ay Ameerul Momineen (a.s) ke farzand. Salaam ho aap par Ay Abde-Saaleh (banda-e khush-kirdaar) Khuda aur uske Rasool (s.a.w.s) ke ita’at guzaar. Mai’n gawahi deta hoo’n keh ba-tahqeeq aap ne jehaad kiya aur khair-khwahi ki (bhalayee chaahna) aur sabr se kaam liya yahaa’n tak keh aap duniya se chal ba-se, Khuda ki la’nat ho un-par jinho’n ne aap par zulm dhaya (chaahe woh) awwaleen mein se ya aakhereen mein se aur Khuda unko Jahannum ke nichle daraje mein phenke (Aameen).
Comments
Post a Comment