Ziyarat E Ashura (Imam Hussain a.s)
(Shuru karta hoo’n mai’n) Allah ke naam se Jo bada maherbaan aur rahem karne wala hai.
Aap par salaam ho Ay Aba Abdillah (a.s). Aap par salaam ho Ay Rasool-e Khuda (s.a.w.s) ke farzand. Salaam ho aap par Ay Ameerul Momineen (a.s) ke farzand aur Ausiyaa ke sardar ke farzand. Salaam ho aap par Ay farzande Fatema (s.a) jo saare jahaa’n ki aurto’n ki sardar hai. Salaam ho aap par Ay qurban-e-Khuda aur qurban-e-Khuda ke farzand, aur woh khoo’n (blood) jiska abhi tak badla liya jana hai. Salaam ho aap aur un rooho’n par jo aap ke aastaane mein utri hai. Aap sab par hamesha meri taraf se Khuda ka salaam ho jab-tak mai’n baaqi (zinda) hoo’n aur yeh raat-o-din baaqi hai.
Ay Aba Abdillah (a.s) aap ka gham bohot bhari aur bohot bada hai. Aur aap ki museebat bohot badi hai hamare liye aur tamaam Ahle Islam ke liye. Isi tarha bohot badi aur bhari hai aap ki museebat (aasmano’n mein) tamaam aasmaan walo’n ke liye. Pas Khuda ki la’nat ho us qaum par jisne aap par zulm wo sitam karne ki bunyaad daali Ay Ahle-Bayt (a.s) aur Khuda ki la’nat ho us qaum par jisne aap ko aap ke maqaam se hataya aur aap ko us martabe se giraya jo Khuda ne aap ko diya.
Khuda ki la’nat ho us qaum par jisne Aap ko qatl kiya, aur Khuda ki la’nat ho un par jinho’n ne unko (zaalimo’n ko) aap ke saath jang karne ki quwwat faraham (provide) ki. Mai’n bari hoo’n Khuda ke saamne aur aap ke saamne, unse unke madadgaro’n aur unke pairokaaro’n (followers) aur unke saathiyo’n se.
Ay Aba Abdillah! Meri sulh (peace) hai aap ke saath sulh karne wale se, aur meri jang hai aap ke saath jang karne walo’n se roze qayamat tak. Aur Khuda la’nat kare’n Aale Ziyaad par, Aale Marwaan par. Aur Khuda izhaare bezaari kare’n tamaam Bani Umayya se. Khuda la’nat kare’n ibne Marjana par Khuda la’nat kare’n Umar ibne Saad par, Khuda la’nat kare’n Shimr par. Aur Khuda la’nat kare’n un par jinho’n ne zeen kasa (ghodo’n par zeen lagaya) lagaam di, aur logo’n ko aap se ladne ke liye ubhara (encouraged).
Mere maa-baap aap par qurban ho. Yaqeenan aap ki khaatir mera gham badh gaya hai. Pas sawaal karta hoo’n Khuda se, jisne aap ko buland-shaan ataa kiya aur aap ke zariye mujhe izzat di, aur woh yeh ke mujhe aap ke khoo’n ka badla lene ka mauqa de us Imam-e-Mansoor ke saath jo Ahle-Bayt-e-Mohammad (s.a.w.s) mein se honghe.
Ay Ma’bood! Mujh ko apne yahaa’n aabru-mand (izzatdaar) bana Husain (a.s) ke waaste se duniya wo aakherat mein. Ay Aba Abdillah (a.s) be-shak mai’n qurb (nazdeeki) chaahta hoo’n Khuda ka aur uske Rasool (s.a.w.s) ka Ameerul Momineen (a.s) ka aur Fatema Zahra (s.a) ka Hasan-e-Mujtaba (a.s) ka aur aap ka, aap ki hube-daari (aap se mohabbat rakhne ki wajha) se aur usse bezaari ke zariye jisne aap ko qatl kiya aur aap ke khilaaf jang ki aagh bhadkayee aur usse bezaari ke zariye jisne aap par zulm-o-sitam ki bunyaad rakkhi.
Aur mai’n bariuz-zimma (azad) hoo’n Allah aur uske Rasool (s.a.w.s) ke saamne usse jisne aisi bunyaad qaayem ki aur usey jaari rakkha. Aur phir zulm-o-sitam karna shuru kiya aap par aur aap ke pairo-kaaro’n (followers) par. Mai’n bezaari zaahir karta hoo’n Khuda aur aap logo’n ke saamne un zaalimo’n se. Aur qurb (nazdeeki) chhata hoo’n Khuda ka phir aap ka aap se mohabbat ki wajha se, aur Aap ke dosto’n se mohabbat ke zariye, aap ke dushmano’n aur aap ke khilaaf jang barpa karne walo’n se bezaari ke zariye aur unke tarafdaaro’n aur pairo-kaaro’n se bezaari ke zariye.
Meri sulh hai aap se sulh karne wale se aur meri jang hai aap se jang karne wale se. Mai’n aap ke dost ka dost aur aap ke dushman ka dushman hoo’n. Pas sawaal karta hoo’n us Khuda se Jisne izzat di mujhe aap ki maarefat (pehchaan) aur aap ke dosto’n ki pehchaan ke zariye. Aur mujhe aap ke dushmano’n se bezaari ki taufeeq di yeh ke mujhe aap ke saath rakkhe duniya wo aakherat mein. Aur yeh ke mujhe aap ke huzoor sachchayee ke saath saabit-qadam rakkhe duniya wo aakherat mein. Aur usse sawaal karta hoo’n ke mujhe bhi Khuda ke yahaa’n aap ke pasandeeda maqaam par pohnchaaye, aur mujhe us Imam (a.s) ke saath jo hidaayat dene wala, madadgaar, Rehbar, aur haq baat zabaan par laane wala hai unke saath aap ke khoo’n ka badla lena naseeb kare.
Aur sawaal karta hoo’n Khuda se aap ke haq ke waaste se aur aap ki shaan ke waaste jo aap uske yahaa’n rakhte hai. Yeh ke Woh mujh ko ataa kare’n aap ki saugwaari (azadari) par aisa behtareen ajr jo usne aap ke kisi saugwaar (azadar) ko diya ho us museebat par jo bohot badi museebat hai aur uska ranj wo gham bohot zeyada hai Islaam mein, aur tamaam aasmano’n mein aur zameeno’n mein.
Ay Ma’bood! Mujhe us jagah par qaraar de aur un logo’n mein se jin ko Tere durood wo rehmat aur bakhshish naseeb ho. Ay Ma’bood! Mera jeena aur marna Mohammad (s.a.w.s) wa Aale Mohammad (a.s) ke saath qaraar de.
Ay Ma’bood! Be-shak yeh woh din hai jisko Bani Umayyah aur Kaleja chabaane waali (Hinda) ke bete ba-barkat jaante hai. Jo maloon ibne maloon hai. Teri zabaan par aur Tere Nabi-e-Akram (s.a.w.s) ki zabaan par har shahar aur har us jagah jahaa’n Tere Nabi-e-Akram (s.a.w.s) ne wuqoof kiya (thahre).
Ay Ma’boob! La’nat kar Abu Sufyaan, Mu’awiya ibne Abu Sufyaan aur Yazeed ibne Mu’awiya par aur unse sadaa (hamesha) izhaare bezaari kar. Aur yeh woh din hai jis mein khush huwe Aulaade Ziyad wo Aulaade Marwan kyun-keh is din unho’n ne qatl kiya Iman Husain (a.s) ko. Ay Ma’bood! Pas Tu zeyada kar un par apni taraf se la’nat aur azaab ko.
Ay Ma’bood! Be-shak mai’n Tera qurb chhata hoo’n, ke aaj ke din is jagah par jahaa’n khada hoo’n aur apni zindaghi ke baqiya dino’n mein unse (dushmane Ahlebayt se) bezaari ke zariye, aur un par la’nat bhejne ke zariye. Aur us dosti ke waseele se jo mujhe Tere Nabi ki Aal se hai. Salaam ho Tere Nabi aur unki Aal par.
Phir 100 martaba kahe’n…
Ay Ma’bood! Mahroom kar apni rehmat se us pehle zaalim ko jisne zaaya (pamaal) kiya Mohammad (s.a.w.s) wo Aale Mohammad (a.s) ke haq ko. Aur usko bhi jisne aakhir mein uski pairawi ki. Ay Ma’bood! La’nat kar us qaum par jinho’n ne jang ki Imam Husain (a.s) se aur un logo’n par bhi jo qatle Husain (a.s) mein shareek thay. Ay Ma’bood! Un sab par la’nat bhej.
Phir 100 martaba kahe’n…
Salaam ho aap par Ay Aba Abdillah, aur Salaam ho un rooho’n par jo aap ke rauze par aati hai. Aap par meri taraf se Khuda ka salaam ho hamesha jab-tak zinda hoo’n aur jab-tak raat-o-din baaqi hai’n. Aur Khuda qaraar na de isko mere liye aap ki ziyarat ka aakheri mauqa. Salaam ho Imam Husain (a.s) par aur unke farzand Ali (Akbar) par. Salaam ho aulaade Imam Husain (a.s) aur as-haabe Imam Husain (a.s) par.
Phir 1 martaba kahe’n…
Ay Ma’bood! Tu makhsoos farma pehle (1st) zaalim ko meri taraf se la’nat ke saath. Usse (1st se) ab is la’nat ka aagaaz farma, phir la’nat bhej dusre (2nd), aur teesre (3rd) aur phir chauthe (4th) par la’nat bhej. Ay Ma’bood! La’nat kar Yazeed par jo paanchwa’n (5th) hai. Aur la’nat kar Ubaidullah bin Ziyaad par aur Ibne Marjana par aur Umar ibne saad par aur Shimr par. Aur aulaade Abu Sufiyaan ko aur aulaade Ziyad ko aur aulaade Marwan ko rehmat se dur rakh qayamat ke din tak.
Phir Sajdeh mein jaaye’n aur kahe’n…
Ay Ma’bood! Tere liye hamd hai shukr karne walo’n ki hamd. Hamd hai Khuda ke liye jisne mujhe azadari naseeb ki. Ay Ma’bood! Hashr mein aane ke din mujhe Imam Husain (a.s) ki shifa’at naseeb farma. Aur mere qadam ko raahe-raast par saabit qadam rakh. Jab mai’n Tere paas aawoo’n, Iman Husain (a.s) aur as-haabe Imam Husain (a.s) ke saath jinho’n ne Imam Husain (a.s) ke liye apni jaane qurban kar dee. Parwardigaar Tu rehmat naazil farma Hazrat Mohammad (s.a.w.s) aur unki Aale paak (a.s) par.
Iske ke baad Dua-e Alqamapadhe’n
Comments
Post a Comment